naya ek jahan
chalo nayā ik jahāñ basā leñ
jahāñ har insān ho barābar
na koī ūñchā na koī nīchā
na koī gorā na koī kaalā
kisī kī dāḌhī kisī kī choTī
se farq hotā na ho jahāñ par
jahāñ ki maz.hab agar ho koī
to vo ho insāniyat kā maz.hab
kare hukūmat to bas mohabbat
na koī ranjish na koī nafrat
ḳhulūs ko marne se bachā leñ
chalo nayā ik jahāñ basā leñ
maiñ baat kartā huuñ is jahāñ kī
jo is jahāñ meñ nahīñ hai shāyad
vo jis ke baare kahāniyoñ meñ
paḌhā thā shāyad sunā thā shāyad
vo jis meñ har shaḳhs ek sā ho
burā bhī ho gar to nek sā ho
jahāñ ki har koī dūsre ke
lahū kī qīmat samajh rahā ho
jahāñ kisī kā na qatl hotā
ho zaat maz.hab kā naam le kar
vahīñ kahīñ apnī jā banā leñ
chalo nayā ik jahāñ basā leñ
maiñ sochtā huuñ kahāñ milegā
jahāñ vo jis meñ ho sirf insāñ
na koī vahshī na ho darinda
jahāñ ki aurat kī aabrū ko
na noch kar koī khā rahā ho
ki koī vahshat kā raqs kar ke
na mard ḳhud ko batā rahā ho
jahāñ ki mahfūz ḳhud ko samjhe
har ek havvā har ik yashoda
har ek mariyam har ek siitā
ye farz hai ham use nibhā leñ
chalo nayā ik jahāñ basā leñ
maiñ jāntā huuñ ki aisī duniyā
hai DhūñD paanā bahut hī mushkil
yā yuuñ bhī kah leñ nahīñ hai mumkin
vo is liye kyoñ ki aadmī ab
ġhalīz kīḌoñ se bhī burā hai
jo apnī had se guzar chukā hai
aur ek duuje ko khā rahā hai
bashar kā matlab bhulā rahā hai
ki ḳhud ko haivāñ banā rahā hai
na jaane kis samt jā rahā hai
ham is jahannam se jaañ chhuḌā leñ
chalo nayā ik jahāñ basā leñ
chalo naya ek jahan basa len
jahan har insan ho barabar
na koi uncha na koi nicha
na koi gora na koi kala
kisi ki daDhi kisi ki choTi
se farq hota na ho jahan par
jahan ki mazhab agar ho koi
to wo ho insaniyat ka mazhab
kare hukumat to bas mohabbat
na koi ranjish na koi nafrat
KHulus ko marne se bacha len
chalo naya ek jahan basa len
main baat karta hun is jahan ki
jo is jahan mein nahin hai shayad
wo jis ke bare kahaniyon mein
paDha tha shayad suna tha shayad
wo jis mein har shaKHs ek sa ho
bura bhi ho gar to nek sa ho
jahan ki har koi dusre ke
lahu ki qimat samajh raha ho
jahan kisi ka na qatl hota
ho zat mazhab ka nam le kar
wahin kahin apni ja bana len
chalo naya ek jahan basa len
main sochta hun kahan milega
jahan wo jis mein ho sirf insan
na koi wahshi na ho darinda
jahan ki aurat ki aabru ko
na noch kar koi kha raha ho
ki koi wahshat ka raqs kar ke
na mard KHud ko bata raha ho
jahan ki mahfuz KHud ko samjhe
har ek hawwa har ek yashoda
har ek mariyam har ek sita
ye farz hai hum use nibha len
chalo naya ek jahan basa len
main jaanta hun ki aisi duniya
hai DhunD pana bahut hi mushkil
ya yun bhi kah len nahin hai mumkin
wo is liye kyon ki aadmi ab
ghaliz kiDon se bhi bura hai
jo apni had se guzar chuka hai
aur ek duje ko kha raha hai
bashar ka matlab bhula raha hai
ki KHud ko haiwan bana raha hai
na jaane kis samt ja raha hai
hum is jahannam se jaan chhuDa len
chalo naya ek jahan basa len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.