naya ishq
ḳhizāñ ke mausam kī pahlī patjhaḌ
hasīn rangoñ sunahre pattoñ kī rahguzar par guzishta barsoñ
kā giit sunñe meñ yuuñ magan hai
ḳhizāñ ke mausam kī pahlī bārish
bikharte ḳhvāboñ kā dukh samo kar
baras rahī hai
shajar pe har sū bikhartī kirneñ
yuuñ Tahniyoñ par sunahre āñchal
sajā sajā kar
numū kā sapnā dikhā rahī haiñ
ajiib mushkil sī aa paḌī hai
shajar kā ye dukh
nayā nahīñ hai
mohabbatoñ kā nayā yaqīñ bhī
nayā nahīñ hai
ḳhizāñ kā mausam jo muḳhtasar hai
magar aTal hai
ye kyā ajab hai
ki vasl-o-furqat kī sarhadoñ par
jo ishq pal pal machal rahā hai
sunahre pattoñ kī sej par kuchh
na.e se ḳhvāboñ kā silsila hai
KHizan ke mausam ki pahli patjhaD
hasin rangon sunahre patton ki rahguzar par guzishta barson
ka git sunne mein yun magan hai
KHizan ke mausam ki pahli barish
bikharte KHwabon ka dukh samo kar
baras rahi hai
shajar pe har su bikharti kirnen
yun Tahniyon par sunahre aanchal
saja saja kar
numu ka sapna dikha rahi hain
ajib mushkil si aa paDi hai
shajar ka ye dukh
naya nahin hai
mohabbaton ka naya yaqin bhi
naya nahin hai
KHizan ka mausam jo muKHtasar hai
magar aTal hai
ye kya ajab hai
ki wasl-o-furqat ki sarhadon par
jo ishq pal pal machal raha hai
sunahre patton ki sej par kuchh
nae se KHwabon ka silsila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.