ai ahl-e-shahr aao chalo us taraf chalo
kahāniyoñ kī dhund se aage zarā udhar
vo sāmne khulā huā maidān hai jahāñ
ik aisā khel pesh kiyā jā.egā vahāñ
jo aaj tak kisī ne bhī dekhā nahīñ kabhī
ya.anī tumhārī jāgtī ā.ankhoñ ke sāmne
āvāzoñ ke nujūm sadāoñ ke māhtāb
sannāToñ kī salīb pe laTkā.e jā.eñge
ai ahl-e-shahr aao chalo us taraf chalo
kahaniyon ki dhund se aage zara udhar
wo samne khula hua maidan hai jahan
ek aisa khel pesh kiya jaega wahan
jo aaj tak kisi ne bhi dekha nahin kabhi
yani tumhaari jagti aaankhon ke samne
aawazon ke nujum sadaon ke mahtab
sannaTon ki salib pe laTkae jaenge
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 633)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.