naya rasta
mere dil meñ agar sakat hotī
ye jahāñ ek geñd kī mānind
āsmāñ tak uchhāl detā maiñ
yā kisī jhiil ke kināre pe
jā ke paanī meñ Daal detā maiñ
duur mujh se bahāo kī jānib
tū achānak ise uThā letī
aur koī giit gungunāte hue
ik nayā rāsta banā letī
mere dil mein agar sakat hoti
ye jahan ek gend ki manind
aasman tak uchhaal deta main
ya kisi jhil ke kinare pe
ja ke pani mein Dal deta main
dur mujh se bahao ki jaanib
tu achanak ise uTha leti
aur koi git gungunate hue
ek naya rasta bana leti
- Book : saarii nazmen (Pg. 795)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.