naya sal
ās-nagar meñ rahne vaale saada sachche logo
niiñd kā mausam biit gayā hai apnī āñkheñ kholo
kal kyā khoyā kal kyā paayā aao hisāb lagā.eñ
aane vaalā kal kyā hogā aao nisāb banā.eñ
jaane vaale kal meñ ham ne dukh ke sahrā dekhe
aash nirāsh meñ ghultī dekhī ġham ke dariyā dekhe
sūkhe jismoñ vaale dekhe bhūke nange saa.e
lamha lamha reñg rahe the sab kashkol uThā.e
jaane vaale kal meñ ham ne dastāroñ ko bechā
ūñche aivānoñ meñ ham ne sīpāroñ ko bechā
jaane vaale kal meñ ham ne dukh kī fasl ko kaaTā
bastī bastī bhuuk iflās kī uḌtī ḳhaak ko chāTā
ḳhālī haath aur vīrāñ āñkheñ paañv zanjīr paḌī
chāroñ jānib zahr samundar sar pe dhuup kaḌī
dhartī par bārūd ugāyā amn ke gaane gaa.e
ek-dūje ke ḳhuun se ham ne kaise jashn manā.e
aane vaalā kal kyā hogā aao khoj lagā.eñ
dīvāroñ pe zā.iche khīñcheñ nā-ma.alūm ko paa.eñ
aane vaale kal meñ shāyad ḳhvāboñ kī ta.abīr mile
bhūkī ḳhilqat rizq ko dekhe insāñ ko tauqīr mile
bachchoñ kī ta.alīm ke naam pe maañ na zevar beche
is dhartī par ab na koī zahr samundar sīñche
ās-nagar meñ rahne vaale saada achchhe logo
mumkin ho to kal kā socho apnī āñkheñ kholo
aas-nagar mein rahne wale sada sachche logo
nind ka mausam bit gaya hai apni aankhen kholo
kal kya khoya kal kya paya aao hisab lagaen
aane wala kal kya hoga aao nisab banaen
jaane wale kal mein hum ne dukh ke sahra dekhe
aash nirash mein ghulti dekhi gham ke dariya dekhe
sukhe jismon wale dekhe bhuke nange sae
lamha lamha reng rahe the sab kashkol uThae
jaane wale kal mein hum ne dastaron ko becha
unche aiwanon mein hum ne siparon ko becha
jaane wale kal mein hum ne dukh ki fasl ko kaTa
basti basti bhuk iflas ki uDti KHak ko chaTa
KHali hath aur viran aankhen panw zanjir paDi
chaaron jaanib zahr samundar sar pe dhup kaDi
dharti par barud ugaya amn ke gane gae
ek-duje ke KHun se hum ne kaise jashn manae
aane wala kal kya hoga aao khoj lagaen
diwaron pe zaiche khinchen na-malum ko paen
aane wale kal mein shayad KHwabon ki tabir mile
bhuki KHilqat rizq ko dekhe insan ko tauqir mile
bachchon ki talim ke nam pe man na zewar beche
is dharti par ab na koi zahr samundar sinche
aas-nagar mein rahne wale sada achchhe logo
mumkin ho to kal ka socho apni aankhen kholo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.