naya sal
hai andāz-e-nīm-sahar nirālā aaj
hañs hañs ke ġhunchoñ ko gudgudāyā aaj
āñgan meñ dar aa.ī navelī kiran
pahne ujlā sunahrī pairahan
bād-e-sanā giit chiḌiyoñ ne gaayā
ho mubārak saal nayā aayā
nazar se havādis kī bachānā ḳhudā
har din ḳhushī kā dikhānā ḳhudā
har nayā saal kahte kahte ye aa.e
chaman sadā muskurā.e gul khilā.e
hai andaz-e-nim-sahar nirala aaj
hans hans ke ghunchon ko gudgudaya aaj
aangan mein dar aai naweli kiran
pahne ujla sunahri pairahan
baad-e-sana git chiDiyon ne gaya
ho mubarak sal naya aaya
nazar se hawadis ki bachana KHuda
har din KHushi ka dikhana KHuda
har naya sal kahte kahte ye aae
chaman sada muskurae gul khilae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.