naya sal
maañ ne bachche ko ye samjhāyā bahut der talak
ai na.e saal tire jashn-e-tarab kā matlab
sāl-e-nau
ya.anī ki ḳhushiyoñ kā hai ik sail-e-ravāñ
ab na iflās ke aañsū hoñge
aur hoñge na kisī shahr meñ
dahshat ke nishāñ
ruḳh-e-ma.asūm pe hairat kī lakīreñ ubhrīñ
aur phir Duub ga.iiñ
maañ ne shāyad abhī aḳhbār nahīñ dekhā hai
man ne bachche ko ye samjhaya bahut der talak
ai nae sal tere jashn-e-tarab ka matlab
sal-e-nau
yani ki KHushiyon ka hai ek sail-e-rawan
ab na iflas ke aansu honge
aur honge na kisi shahr mein
dahshat ke nishan
ruKH-e-masum pe hairat ki lakiren ubhrin
aur phir Dub gain
man ne shayad abhi aKHbar nahin dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.