naya sal
na ham badle na tum badle
na chāñd sitāre hī badle
sūraj bhī abhī hai pahle sā
mausam bhī vahī hai sardī kā
fasleñ bhī vahī haiñ sarsoñ kī
vahī būḌhī daadī barsoñ kī
dariyā meñ zarā ufaan hai kam
miTTī bhī nahīñ pahle sī nam
peḌoñ se bahāreñ ġhā.eb haiñ
paudoñ kī nazākat bhī hai gum
ik tārīḳh badalne ko keval
nayā saal aayā kahte ho tum
na hum badle na tum badle
na chand sitare hi badle
suraj bhi abhi hai pahle sa
mausam bhi wahi hai sardi ka
faslen bhi wahi hain sarson ki
wahi buDhi dadi barson ki
dariya mein zara ufan hai kam
miTTi bhi nahin pahle si nam
peDon se bahaaren ghaeb hain
paudon ki nazakat bhi hai gum
ek tariKH badalne ko kewal
naya sal aaya kahte ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.