naya sal
nayā saal aayā nayā saal aayā
umīdoñ kā dil meñ diyā jagmagāyā
na.e saal kā ham ko paiġhām kyā hai
na.e saal meñ ab nayā kaam kyā hai
purānā tarīqa badalnā hai ham ko
taraqqī kī rāhoñ pe chalnā hai ham ko
añdhere ke dāman ko ham chaak kar deñ
vatan kī fazāoñ ko nūr-e-sahar deñ
suneñ dard-mandoñ kī fariyād kyā hai
ġharīboñ pe dar-asl uftād kyā hai
uTheñ aur dukhiyoñ kā dukh duur kar deñ
masarrat se har dil ko ma.amūr kar deñ
na.ī raushnī se fazā jagmagā.eñ
na.e saaz par ab na.e giit gaa.eñ
naya sal aaya naya sal aaya
umidon ka dil mein diya jagmagaya
nae sal ka hum ko paigham kya hai
nae sal mein ab naya kaam kya hai
purana tariqa badalna hai hum ko
taraqqi ki rahon pe chalna hai hum ko
andhere ke daman ko hum chaak kar den
watan ki fazaon ko nur-e-sahar den
sunen dard-mandon ki fariyaad kya hai
gharibon pe dar-asl uftad kya hai
uThen aur dukhiyon ka dukh dur kar den
masarrat se har dil ko mamur kar den
nai raushni se faza jagmagaen
nae saz par ab nae git gaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.