naya safar
ta.alluqāt kā afsūñ kudūratoñ kā ġhubār
diloñ kā buġhz, mohabbat ke dā.eroñ kā hisār
masarratoñ kā har ik rañg, ġham kā har lamha
guzartī mauj ke mānind ubhar ke Duub gayā
ḳhulūs o mahr o adāvat kī saarī zanjīreñ
palak jhapakne kī mohlat meñ jal ke raakh huiiñ
na kaTne vaale kaThin din ḳhayāl o ḳhvāb hue
na aane vaale jo din the vo aa ke biit ga.e
ġham-e-firāq shab-e-intizār sub.h-e-visāl
bas ek gard-e-zamāna muhīt hai sab par
ye sub.h-e-nau hai ki shām-e-hayāt kī manzil
ye iḳhtitām-e-safar hai ki ibtidā-e-safar
talluqat ka afsun kuduraton ka ghubar
dilon ka bughz, mohabbat ke daeron ka hisar
masarraton ka har ek rang, gham ka har lamha
guzarti mauj ke manind ubhar ke Dub gaya
KHulus o mahr o adawat ki sari zanjiren
palak jhapakne ki mohlat mein jal ke rakh huin
na kaTne wale kaThin din KHayal o KHwab hue
na aane wale jo din the wo aa ke bit gae
gham-e-firaq shab-e-intizar subh-e-visal
bas ek gard-e-zamana muhit hai sab par
ye subh-e-nau hai ki sham-e-hayat ki manzil
ye iKHtitam-e-safar hai ki ibtida-e-safar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.