naya safar
āsmāñ lohā dishā.eñ patthar
sar-nigūñ saare khujūroñ ke daraḳht
koī harakat na sadā
bujh ga.ī būḌhī pahāḌī pe chamaktī huī aag!
tham ga.e paak sitāroñ se baraste hue raag
phir se kāñdhoñ pe jamālo sar ko
phir se jismoñ meñ lagā lo Tāñgeñ
DhūñD lo khoī huī āñkhoñ ko
ab kisī par nahīñ utregā sahīfa koī
aasman loha dishaen patthar
sar-nigun sare khujuron ke daraKHt
koi harakat na sada
bujh gai buDhi pahaDi pe chamakti hui aag!
tham gae pak sitaron se baraste hue rag
phir se kandhon pe jamalo sar ko
phir se jismon mein laga lo Tangen
DhunD lo khoi hui aankhon ko
ab kisi par nahin utrega sahifa koi
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.