naya suraj
falak ke zāviye jab jab
na.ī tashkīl pā.eñge
sitāroñ kī tunuk-tābī
zamīñ ko aañkh baḳhshegī
uḌeñge ḳhāk-dāñ se phir
ka.ī zarre ḳhalāoñ meñ
jo poshīda haiñ fitrat ke
vo sab asrār kholeñge
zamīñ ke jitne manzar haiñ
sitāroñ par utāreñge
vo lamhe kal jo ā.eñge
nayā sūraj ugā.eñge
falak ke zawiye jab jab
nai tashkil paenge
sitaron ki tunuk-tabi
zamin ko aankh baKHshegi
uDenge KHak-dan se phir
kai zarre KHalaon mein
jo poshida hain fitrat ke
wo sab asrar kholenge
zamin ke jitne manzar hain
sitaron par utarenge
wo lamhe kal jo aaenge
naya suraj ugaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.