naya uniform
kitābeñ bāñdh kar chalne ko sab tayyār baiThe haiñ
magar chhuTTī nahīñ miltī baḌe lāchār baiThe haiñ
Tapaktī ek jhuñjhlāhaT sī hai chehre se bhī un ke
paḌe haiñ saikḌoñ bal dekhiye māthe pe bhī un ke
hamārī tarah shāyad master sāhab bhī haiñ bhūke
abhī jhallā ke do laḌkoñ ko vo bhī maar baiThe haiñ
magar chhuTTī nahīñ miltī baḌe lāchār baiThe haiñ
abhī chauthī jamā.at meñ haiñ lekin kyā qayāmat hai
pulanda ye kitāboñ kā nahīñ uThtā musībat hai
bhalā itnī bahut sī copiyoñ kī kyā zarūrat hai
ki jin ke vāste beche hue ghar-bār baiThe haiñ
magar chhuTTī nahīñ miltī baḌe lāchār baiThe haiñ
ye apne kaam se bachne kā achchhā shāḳhsāna hai
vo jab dekho yahī karte haiñ un kā kyā Thikāna hai
ye ustādoñ kī mēting bhī bahāna hī bahāna hai
vahāñ uḌtī haiñ gappeñ ham yahāñ be-kār baiThe haiñ
magar chhuTTī nahīñ miltī baḌe lāchār baiThe haiñ
ḳhudā jaane ki ye baiThe biThā.e kyā ḳhayāl aayā
ġharībī meñ sitam ham pe bhalā ye kis liye Dhāyā
nayā ho uniform hukm ye schōl se aayā
yahāñ siine ko ham apnī phaTī shalvār baiThe haiñ
magar chhuTTī nahīñ miltī baḌe lāchār baiThe haiñ
kitaben bandh kar chalne ko sab tayyar baiThe hain
magar chhuTTi nahin milti baDe lachaar baiThe hain
Tapakti ek jhunjhlahaT si hai chehre se bhi un ke
paDe hain saikDon bal dekhiye mathe pe bhi un ke
hamari tarah shayad master sahab bhi hain bhuke
abhi jhalla ke do laDkon ko wo bhi mar baiThe hain
magar chhuTTi nahin milti baDe lachaar baiThe hain
abhi chauthi jamaat mein hain lekin kya qayamat hai
pulanda ye kitabon ka nahin uThta musibat hai
bhala itni bahut si copiyon ki kya zarurat hai
ki jin ke waste beche hue ghar-bar baiThe hain
magar chhuTTi nahin milti baDe lachaar baiThe hain
ye apne kaam se bachne ka achchha shaKHsana hai
wo jab dekho yahi karte hain un ka kya Thikana hai
ye ustadon ki meeting bhi bahana hi bahana hai
wahan uDti hain gappen hum yahan be-kar baiThe hain
magar chhuTTi nahin milti baDe lachaar baiThe hain
KHuda jaane ki ye baiThe biThae kya KHayal aaya
gharibi mein sitam hum pe bhala ye kis liye Dhaya
naya ho uniform hukm ye school se aaya
yahan sine ko hum apni phaTi shalwar baiThe hain
magar chhuTTi nahin milti baDe lachaar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.