nazhad-e-nau
barahna-sar haiñ barhana tan haiñ barhana-pā haiñ
sharīr rūheñ
zamīr-e-hastī kī ārzūeñ
chaTaktī kaliyāñ
ki jin se būḌhī udaas galiyāñ
mahak rahī haiñ
ġharīb bachche ki jo shuā-e-sahar-gahī haiñ
hamārī qabroñ pe girte ashkoñ kā silsila haiñ
vo manzileñ jin kī jhalkiyoñ ko hamārī rāheñ
taras rahī haiñ
unhī ke qadmoñ meñ bas rahī haiñ
hasīn ḳhvāboñ
kī dhundlī duniyā.eñ jo sarāboñ
kā ruup dhāre
hamāre ehsās par sharāre
uñDeltī haiñ
unhīñ kī āñkhoñ meñ kheltī haiñ
unhī ke gum-sum
udaas chehroñ par jhilmilāte hue tabassum
meñ Dhal ga.e haiñ hamāre aañsū hamārī aaheñ
tavīl tārīkiyoñ meñ kho jā.eñge jab ik din
hamāre saa.e
is apnī duniyā kī laash uThā.e
to sail-e-ravāñ
kī koī mauj-e-hayāt-sāmāñ
faroġh-e-fardā
kā ruḳh pe Daale mahīn pardā
uchhal ke shāyad
sameT le zindagī kī sarhad
ke us kināre
pe ghūmte ālamoñ ke dhāre
ye sab jā hai ba-jā hai lekin
ye totlī nau-ḳhirām rūheñ ki jin kī har saañs añgbīñ
agar inhī koñpaloñ kī qismat meñ nāz-e-bālīdgī nahīñ hai
to bahtī nadiyoñ
meñ aane vaalī hazār sadiyoñ
kā ye talātum
sukūt-e-paiham kā ye tarannum
ye jhoñke jhoñke
meñ khulte ghūñghaT na.ī rutoñ ke
thakī ḳhalāoñ
meñ laakh an-dekhī kahkashāoñ
kī kāvish-e-ram
hazār nā-āfrīda aalam
tamām bātil
na un kā maqsad na un kā hāsil
agar inhī koñpaloñ kī qismat meñ nāz-e-bālīdgī nahīñ hai
barahna-sar hain barhana tan hain barhana-pa hain
sharir ruhen
zamir-e-hasti ki aarzuen
chaTakti kaliyan
ki jin se buDhi udas galiyan
mahak rahi hain
gharib bachche ki jo shua-e-sahar-gahi hain
hamari qabron pe girte ashkon ka silsila hain
wo manzilen jin ki jhalkiyon ko hamari rahen
taras rahi hain
unhi ke qadmon mein bas rahi hain
hasin KHwabon
ki dhundli duniyaen jo sarabon
ka rup dhaare
hamare ehsas par sharare
unDelti hain
unhin ki aankhon mein khelti hain
unhi ke gum-sum
udas chehron par jhilmilate hue tabassum
mein Dhal gae hain hamare aansu hamari aahen
tawil tarikiyon mein kho jaenge jab ek din
hamare sae
is apni duniya ki lash uThae
to sail-e-rawan
ki koi mauj-e-hayat-saman
farogh-e-farda
ka ruKH pe Dale mahin parda
uchhal ke shayad
sameT le zindagi ki sarhad
ke us kinare
pe ghumte aalamon ke dhaare
ye sab ja hai ba-ja hai lekin
ye totli nau-KHiram ruhen ki jin ki har sans angbin
agar inhi konpalon ki qismat mein naz-e-baalidgi nahin hai
to bahti nadiyon
mein aane wali hazar sadiyon
ka ye talatum
sukut-e-paiham ka ye tarannum
ye jhonke jhonke
mein khulte ghunghaT nai ruton ke
thaki KHalaon
mein lakh an-dekhi kahkashaon
ki kawish-e-ram
hazar na-afrida aalam
tamam baatil
na un ka maqsad na un ka hasil
agar inhi konpalon ki qismat mein naz-e-baalidgi nahin hai
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 121)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.