nazm
agar ye tum ho
to vo kaun thā jo
mire saath pachchīs saal se
shāna-ba-shāna qadam se qadam ko milā kar
zindagī ke safar par
baḌe 'azm se
mire haath meñ haath de kar chalā thā
aur ye vā'da kiyā thā
ki
vo āḳhirī saañs tak saath degā mirā
tum ne dekhā to hogā use
tum hī ab batāo
achānak vo kab aur kahāñ kho gayā hai
mujhe āḳhirī saañs lene kī ḳhātir zarūrat hai us kī
agar ye tum ho
to wo kaun tha jo
mere sath pachchis sal se
shana-ba-shana qadam se qadam ko mila kar
zindagi ke safar par
baDe 'azm se
mere hath mein hath de kar chala tha
aur ye wa'da kiya tha
ki
wo aaKHiri sans tak sath dega mera
tum ne dekha to hoga use
tum hi ab batao
achanak wo kab aur kahan kho gaya hai
mujhe aaKHiri sans lene ki KHatir zarurat hai us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.