nazm
nahīñ maiñ kisī yūnānī almiye kā
markazī kirdār nahīñ
na hī maiñ is liye banā thā
maiñ to ek ḳhāmosh tamāshā.ī huuñ
hazāroñ saal pattharoñ meñ jakḌe
kisī markazī kirdār kī āñkheñ
jab shāhīn se nochvā.ī jaatī haiñ
aur jab vo dard se karāh kar kahtā hai
maiñ tamām pyaar karne vāloñ ke liye ek karbnāk manzar huuñ
yā sālhā-sāl samundaroñ meñ bhaTakne vaale sayyāhoñ se
ḳhudā jab un ke ghar aane kā din chhīn letā hai
yā jab koī sarkash markazī yūnānī kirdār
apne ābā.ī ḳhudā se muskurā kar kahtā hai
taḳhlīq ke baad mujh par tumhārā koī haq nahīñ rahā
to maiñ apne baġhal vaale māsūm tamāshā.ī se
māchis maañg kar apnā cigarette sulgā letā huuñ
ḳhudā yā ye log kitne bevaqūf haiñ
mujhe zindagī kā koī tajraba nahīñ
shāyad apnī ġhaltiyoñ ko hañs kar bhūlne ke fuqdān ko tajraba kahte haiñ
yā phir shāyad isī iḳhtilāj-e-kam-tarī ko
zehn ke frame meñ band rakhne ko
shāyad mujhe mālūm nahīñ
ye sadī dard-e-zachgī se karāh rahī hai
aur maiñ tavārīḳh ke shātirāna sehn meñ
baiThā soch rahā huuñ
maiñ nahīñ ye duniyā za.iif ho ga.ī hai
aur jald hī mar jā.egī
magar muarriḳh mere baare meñ kyā likheñge
nahin main kisi yunani almiye ka
markazi kirdar nahin
na hi main is liye bana tha
main to ek KHamosh tamashai hun
hazaron sal pattharon mein jakDe
kisi markazi kirdar ki aankhen
jab shahin se nochwai jati hain
aur jab wo dard se karah kar kahta hai
main tamam pyar karne walon ke liye ek karbnak manzar hun
ya salha-sal samundaron mein bhaTakne wale sayyahon se
KHuda jab un ke ghar aane ka din chhin leta hai
ya jab koi sarkash markazi yunani kirdar
apne aabai KHuda se muskura kar kahta hai
taKHliq ke baad mujh par tumhaara koi haq nahin raha
to main apne baghal wale masum tamashai se
machis mang kar apna cigarette sulga leta hun
KHuda ya ye log kitne bewaquf hain
mujhe zindagi ka koi tajraba nahin
shayad apni ghaltiyon ko hans kar bhulne ke fuqdan ko tajraba kahte hain
ya phir shayad isi iKHtilaj-e-kam-tari ko
zehn ke frame mein band rakhne ko
shayad mujhe malum nahin
ye sadi dard-e-zachgi se karah rahi hai
aur main tawariKH ke shatirana sehn mein
baiTha soch raha hun
main nahin ye duniya zaif ho gai hai
aur jald hi mar jaegi
magar muarriKH mere bare mein kya likhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.