nazm
Interesting Fact
(Auraq, Lahore, March, April, 1973)
aur phir ik din maiñ aur tum in ūñchī nīchī dīvāroñ ke jhurmuT meñ utre
jin meñ kabhī hamārī rūhoñ ko zinda chun diyā gayā thā
is vaqt āñgan āñgan meñ tirchhī kirnoñ ne dhuup ke kañgare sāyoñ kī qāshoñ meñ Taañk diye the
dekhā huā sā koī samāñ purānā us din ham ne dekhā
yuuñ lagtā thā jaise āsmānoñ kī raushaniyāñ jhuk jhuk kar us ik qarye ko dekh rahī thiiñ
aur hameñ tab vo din yaad aa.e jab maut hamārī zindagiyoñ se guzar rahī thī aisī hī sub.hoñ kī oT meñ
ham un zīna-ba-zīna muñDeroñ ke jhurmuT meñ the
aur us shahr ke log ab bhī galiyoñ meñ ḳhvāñche lagā.e apnī zindagiyoñ ko saj rahe the
aur phir ham ne sochā
kaun achchhā hai ham jo murda chehroñ se jiine kī ḳhvāhish paate haiñ yā vo jo
ham ko zinda dekh ke hamārī maut ko maan lete haiñ
abhī abhī to mere saath saath the ham use guzre hue zamānoñ ke ḳhayālo phir kab lauToge
ik din phir bhī tumhāre saath is ḳhaak ke taḳhte tak jā.ūñgā
jis se Dhake hue be-nūr gaḌhoñ meñ
kuchh nādīda āñkheñ ham ko dekh ke ab bhī hañs hañs uThtī nazar aatī haiñ
aur phir ek din main aur tum in unchi nichi diwaron ke jhurmuT mein utre
jin mein kabhi hamari ruhon ko zinda chun diya gaya tha
is waqt aangan aangan mein tirchhi kirnon ne dhup ke kangare sayon ki qashon mein Tank diye the
dekha hua sa koi saman purana us din hum ne dekha
yun lagta tha jaise aasmanon ki raushaniyan jhuk jhuk kar us ek qarye ko dekh rahi thin
aur hamein tab wo din yaad aae jab maut hamari zindagiyon se guzar rahi thi aisi hi subhon ki oT mein
hum un zina-ba-zina munDeron ke jhurmuT mein the
aur us shahr ke log ab bhi galiyon mein KHwanche lagae apni zindagiyon ko saj rahe the
aur phir hum ne socha
kaun achchha hai hum jo murda chehron se jine ki KHwahish pate hain ya wo jo
hum ko zinda dekh ke hamari maut ko man lete hain
abhi abhi to mere sath sath the hum use guzre hue zamanon ke KHayalo phir kab lauToge
ek din phir bhi tumhaare sath is KHak ke taKHte tak jaunga
jis se Dhake hue be-nur gaDhon mein
kuchh nadida aankhen hum ko dekh ke ab bhi hans hans uThti nazar aati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.