nazm
āshiq vo ahl-e-havas ke biich meñ do ek aisī Trophiyāñ thiiñ
sab ko ye ma.alūm thā Teameñ barābarī kī raheñgī
sab badan ke hausle haiñ jeb kī kārīgarī hai
jo retire ho gayā vo gerve kapḌe pahan kar
ruuh kī maalā ke ik sau aaTh daane bechtā hai
sab badan ke hausle the
pensioneñ tanḳhvāh kā aksar tihā.ī hī rahī haiñ
aur qīmat dhīre dhīre umr kī sūrat falak ko chhū rahī hai
ek aur nau kī ye nisbat
pople muñh meñ kasīlī raakh hī kā zā.iqa detī rahī hai
vo ḳhudā ke nek bande haiñ ki jin kī jeb meñ paisa nahīñ hai
muflisī ke board ghar ghar muft bāñTe jā rahe haiñ
qabz se baḌh kar koī ne.amat nahīñ hai
laḌkiyāñ lipstick suno skurts jeans māñgtī haiñ
jeb kī kārīgarī thī
sab badan ke hausle the jeb kī kārīgarī thī
aashiq wo ahl-e-hawas ke bich mein do ek aisi Trophiyan thin
sab ko ye malum tha Teamen barabari ki rahengi
sab badan ke hausle hain jeb ki karigari hai
jo retire ho gaya wo gerwe kapDe pahan kar
ruh ki mala ke ek sau aaTh dane bechta hai
sab badan ke hausle the
pensionen tanKHwah ka aksar tihai hi rahi hain
aur qimat dhire dhire umr ki surat falak ko chhu rahi hai
ek aur nau ki ye nisbat
pople munh mein kasili rakh hi ka zaiqa deti rahi hai
wo KHuda ke nek bande hain ki jin ki jeb mein paisa nahin hai
muflisi ke board ghar ghar muft banTe ja rahe hain
qabz se baDh kar koi neamat nahin hai
laDkiyan lipstick suno skurts jeans mangti hain
jeb ki karigari thi
sab badan ke hausle the jeb ki karigari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.