nazm
chhalak jaatī haiñ āñkheñ jab
bhī ham fariyād karte haiñ
vo din kyā phir na ā.eñge
jinheñ ham yaad karte haiñ
vo un kā pyaar vo shaiḳh-o-barahman yaad aate haiñ
kabhī ik shāḳh par the do
nasheman yaad aate haiñ
ḳhushī miltī thī us ko jo kisī ke kaam aatā thā
kisī kā dard le kar kis qadar
ārām aatā thā
vahī ham haiñ vahī tum ho
phir itnā fāsla kyoñ hai
sabhī kuchh ek hai to phir
ye dil se dil judā kyoñ hai
kabhī is mulk kī nazdīk se
tasvīr to dekho
kisī ke ḳhvāb kī TuuTī huī
ta.abīr to dekho
ḳhizāñ kā daur is dil ke
chaman se kaise niklegā
hamāre mulk kā sūraj gahan
se kaise niklegā
'suman' dars-e-mohabbat
yuuñ parinde ham ko dete haiñ
kabhī mandir meñ rahte haiñ
kabhī masjid meñ rahte haiñ
chhalak jati hain aankhen jab
bhi hum fariyaad karte hain
wo din kya phir na aaenge
jinhen hum yaad karte hain
wo un ka pyar wo shaiKH-o-barahman yaad aate hain
kabhi ek shaKH par the do
nasheman yaad aate hain
KHushi milti thi us ko jo kisi ke kaam aata tha
kisi ka dard le kar kis qadar
aaram aata tha
wahi hum hain wahi tum ho
phir itna fasla kyon hai
sabhi kuchh ek hai to phir
ye dil se dil juda kyon hai
kabhi is mulk ki nazdik se
taswir to dekho
kisi ke KHwab ki TuTi hui
tabir to dekho
KHizan ka daur is dil ke
chaman se kaise niklega
hamare mulk ka suraj gahan
se kaise niklega
'suman' dars-e-mohabbat
yun parinde hum ko dete hain
kabhi mandir mein rahte hain
kabhi masjid mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.