nazm
curfew-zada shahr kī
beva saḌkeñ
āñkheñ kholtī haiñ
nagar ke garbh meñ
kyā dekhtī haiñ nahīñ ma.alūm
hairat-zada haiñ
dhartī shāyad
garbh dhāran
kar rahī hai
chāñd chhup kar
khiḌkiyoñ se jhāñktā hai
āvāra kutte
Toliyoñ meñ bhūñkte haiñ
zindagī
barahna so rahī hai
maiñ
raat sī kaT rahī huuñ
puurī vaadī meñ
curfew nāfiz hai
curfew-zada shahr ki
bewa saDken
aankhen kholti hain
nagar ke garbh mein
kya dekhti hain nahin malum
hairat-zada hain
dharti shayad
garbh dhaaran
kar rahi hai
chand chhup kar
khiDkiyon se jhankta hai
aawara kutte
Toliyon mein bhunkte hain
zindagi
barahna so rahi hai
main
raat si kaT rahi hun
puri wadi mein
curfew nafiz hai
- Book : Man Me'n Jami Barf (Pg. 42)
- Author : Dr. Shabnam Ishai
- Publication : Arshia Publications, Delhi (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.