nazm
daġhā ne mujhe
tah-e-nashīñ rakkhā
mere hausle
merī vafā
masarrateñ ishq aur ḳhvāb
tahoñ ke biich raakh ho ga.e
mere chaap kī zabān dab ga.ī
zindagī dabtī nahīñ mujhe dhaḌkā sā lagā hai!
daġhā-bāzoñ ko
ḳhudā kā bhī ḳhadsha nahīñ
vo paanī se miTTī se
ret se nahīñ
pān.cho vaqt
makkārī kī jhaag se
vazū banāte haiñ
aur zindagī ke tanDav kā
sajda karte haiñ
maiñ
sajde meñ baḌbaḌātī huuñ
ai maut gale lagā le
zindagī dabtī nahīñ mujhe dhaḌkā sā lagā hai
dagha ne mujhe
tah-e-nashin rakkha
mere hausle
meri wafa
masarraten ishq aur KHwab
tahon ke bich rakh ho gae
mere chap ki zaban dab gai
zindagi dabti nahin mujhe dhaDka sa laga hai!
dagha-bazon ko
KHuda ka bhi KHadsha nahin
wo pani se miTTi se
ret se nahin
pancho waqt
makkari ki jhag se
wazu banate hain
aur zindagi ke tanDaw ka
sajda karte hain
main
sajde mein baDbaDati hun
ai maut gale laga le
zindagi dabti nahin mujhe dhaDka sa laga hai
- Book : Man Me'n Jami Barf (Pg. 92)
- Author : Dr. Shabnam Ishai
- Publication : Arshia Publications, Delhi (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.