nazm
december ke kohre kī chādar lapeTe
udāsī bhare din meñ simTā huā maiñ
vafā kī javāñ dhuup kī ḳhvāhishoñ meñ
umīdoñ ke ik sabz se lawn meñ huuñ
jahāñ ek Table sajā hasratoñ kā
ka.ī phuul bikhre hue chāhatoñ ke
kahīñ duur se halkī-halkī sī āvāz
aatī hai jagjīt-o-mehdī-hasan kī
vahīñ terī yādoñ kā barfāb jhoñkā
nigāhoñ se ashkoñ kī fariyād sun kar
tire rāste ke sabhī ḳhaar chun kar
december ke kohre kī chādar lapeTe
ḳhamoshī se pahlū meñ baiThā huā hai
december ke kohre ki chadar lapeTe
udasi bhare din mein simTa hua main
wafa ki jawan dhup ki KHwahishon mein
umidon ke ek sabz se lawn mein hun
jahan ek Table saja hasraton ka
kai phul bikhre hue chahaton ke
kahin dur se halki-halki si aawaz
aati hai jagjit-o-mehdi-hasan ki
wahin teri yaadon ka barfab jhonka
nigahon se ashkon ki fariyaad sun kar
tere raste ke sabhi KHar chun kar
december ke kohre ki chadar lapeTe
KHamoshi se pahlu mein baiTha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.