nazm
Dheroñ shoḳh se lamhe
hañsmukh sī ka.ī ghaḌiyāñ
yaad meñ ab tak zinda haiñ
an-ginat se pal milan ke
kuchh anmol se vo va.ade
tire shikve aur irāde
saath meñ biite shām-o-sahar
qismat ke vo zer-o-zabar
baaqī sab be-mol hue
pal ye bas anmol hue
lamhe terī yādoñ ke
yaad meñ ab tak zinda haiñ
din-bhar tujh se bāteñ karnā
phir āñkhoñ meñ rāteñ karnā
yaad meñ ab tak zinda haiñ
yaad ke lamhe jiit chuke haiñ
kitne zamāne biit chuke haiñ
yaad meñ ab tak zinda haiñ
tum bin ham adhūre haiñ
va.ade lekin puure haiñ
Dheron shoKH se lamhe
hansmukh si kai ghaDiyan
yaad mein ab tak zinda hain
an-ginat se pal milan ke
kuchh anmol se wo wade
tere shikwe aur irade
sath mein bite sham-o-sahar
qismat ke wo zer-o-zabar
baqi sab be-mol hue
pal ye bas anmol hue
lamhe teri yaadon ke
yaad mein ab tak zinda hain
din-bhar tujh se baaten karna
phir aankhon mein raaten karna
yaad mein ab tak zinda hain
yaad ke lamhe jit chuke hain
kitne zamane bit chuke hain
yaad mein ab tak zinda hain
tum bin hum adhure hain
wade lekin pure hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.