nazm
tah-ba-tah dil kī kudūrat
merī āñkhoñ meñ umañD aa.ī to kuchh chāra na thā
chāra-gar kī maan lī
aur maiñ ne gard-ālūd āñkhoñ ko lahū se dho liyā
maiñ ne gard-ālūd āñkhoñ ko lahū se dho liyā
aur ab har shakl-o-sūrat
ālam-e-maujūd kī har ek shai
merī āñkhoñ ke lahū se is tarah ham-rañg hai
ḳhurshīd kā kundan lahū
mahtāb kī chāñdī lahū
sub.hoñ kā hañsnā bhī lahū
rātoñ kā ronā bhī lahū
har shajar mīnār-e-ḳhūñ har phuul ḳhūn-dīda hai
har nazar ik tār-e-ḳhūñ har aks ḳhūñ-bālīda hai
mauj-e-ḳhūñ jab tak ravāñ rahtī hai us kā surḳh rañg
jazba-e-shauq-e-shahādat dard, ġhaiz o ġham kā rañg
aur tham jaa.e to kajlā kar
faqat nafrat kā shab maut kā
har ik rañg ke mātam kā rañg
chāra-gar aisā na hone de
kahīñ se lā koī sailāb-e-ashk
āb-e-vazū
jis meñ dhul jaa.eñ to shāyad dhul sake
merī āñkhoñ merī gard-ālūd āñkhoñ kā lahū
tah-ba-tah dil ki kudurat
meri aankhon mein umanD aai to kuchh chaara na tha
chaara-gar ki man li
aur main ne gard-alud aankhon ko lahu se dho liya
main ne gard-alud aankhon ko lahu se dho liya
aur ab har shakl-o-surat
aalam-e-maujud ki har ek shai
meri aankhon ke lahu se is tarah ham-rang hai
KHurshid ka kundan lahu
mahtab ki chandi lahu
subhon ka hansna bhi lahu
raaton ka rona bhi lahu
har shajar minar-e-KHun har phul KHun-dida hai
har nazar ek tar-e-KHun har aks KHun-baalida hai
mauj-e-KHun jab tak rawan rahti hai us ka surKH rang
jazba-e-shauq-e-shahadat dard, ghaiz o gham ka rang
aur tham jae to kajla kar
faqat nafrat ka shab maut ka
har ek rang ke matam ka rang
chaara-gar aisa na hone de
kahin se la koi sailab-e-ashk
aab-e-wazu
jis mein dhul jaen to shayad dhul sake
meri aankhon meri gard-alud aankhon ka lahu
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 461)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.