nazm
farz aur haq apnī jagah
in donoñ ke darmiyān
ik ḳhud-kafīl
apnī duniyā kī malika
man-marzī hai
apnī hastī kī akelī mushīr
jur.at-e-shamshīr thaam kar
haq aur farz se jang kartī hai
agarche ka.ī baar nākāmī kā haar miltā hai
lekin
junūn aur va.ade kī itnī pakkī hai
ḳhud ko qaa.em rakhtī hai
chāhe saarā zamāna
harf-e-ġhalat hī samjhe
farz aur haq apni jagah
in donon ke darmiyan
ek KHud-kafil
apni duniya ki malika
man-marzi hai
apni hasti ki akeli mushir
jurat-e-shamshir tham kar
haq aur farz se jang karti hai
agarche kai bar nakaami ka haar milta hai
lekin
junun aur wade ki itni pakki hai
KHud ko qaem rakhti hai
chahe sara zamana
harf-e-ghalat hi samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.