nazm-go ke liye mashwara
nazm kahoge
kah loge kyaa?
dekho itnā sahl nahīñ hai
bantī baat bigaḌ jaatī hai
aksar nazm akaḌ jaatī hai
chalte chalte
lā ko markaz maan ke
ghūmne lag jaatī hai
laḌte laḌte
lafzoñ ke hāthoñ ko
chūmne lag jaatī hai
sīdhe raste par muḌtī hai
moḌ pe sīdhā chal paḌtī hai
harf ko barf banā detī hai
barf meñ aag lagā detī hai
chup kā qufl lagā kar gūñgī ho jaatī hai
dhīmā dhīmā bolte yak-dam ġhurrātī hai
nazm kahoge
kah loge kyā
dekho itnī sahl nahīñ hai
bantī baat bigaḌ jaatī hai
raah meñ saañs ukhaḌ jaatī hai
nazm kahoge
kah loge kya?
dekho itna sahl nahin hai
banti baat bigaD jati hai
aksar nazm akaD jati hai
chalte chalte
la ko markaz man ke
ghumne lag jati hai
laDte laDte
lafzon ke hathon ko
chumne lag jati hai
sidhe raste par muDti hai
moD pe sidha chal paDti hai
harf ko barf bana deti hai
barf mein aag laga deti hai
chup ka qufl laga kar gungi ho jati hai
dhima dhima bolte yak-dam ghurraati hai
nazm kahoge
kah loge kya
dekho itni sahl nahin hai
banti baat bigaD jati hai
rah mein sans ukhaD jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.