nazm
haqīr o nā-tavāñ tinkā
havā ke dosh par parrāñ
samajhtā thā ki bahr o bar pe merī hukmarānī hai
magar jhoñkā havā kā ek albelā
talavvun-kesh
be-parvā
jab us ke jī meñ aa.e ruḳh palaT jaa.e
havā āḳhir havā hai kab kisī kā saath detī hai
havā to bevafā hai kab kisī kā saath detī hai
havā palTī
bulandī kā fusūñ TuuTā
haqīr o nā-tavāñ tinkā
paḌā hai ḳhāk-e-pastī par
ḳhudā jaane koī rah-gīr-e-be-parvā
jab apne paañv se us ko masaltā hai
to apnā ḳhvāb-e-azmat yaad kar ke us ke dil par kyā guzartī hai
haqir o na-tawan tinka
hawa ke dosh par parran
samajhta tha ki bahr o bar pe meri hukmarani hai
magar jhonka hawa ka ek albela
talawwun-kesh
be-parwa
jab us ke ji mein aae ruKH palaT jae
hawa aaKHir hawa hai kab kisi ka sath deti hai
hawa to bewafa hai kab kisi ka sath deti hai
hawa palTi
bulandi ka fusun TuTa
haqir o na-tawan tinka
paDa hai KHak-e-pasti par
KHuda jaane koi rah-gir-e-be-parwa
jab apne panw se us ko masalta hai
to apna KHwab-e-azmat yaad kar ke us ke dil par kya guzarti hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 301)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.