nazm
yuuñ achānak mulāqāt tujh se huī
jaise rahgīr ko
be-talab
be-duā
raah meñ ek anmol motī mile
aur hañgām-e-ruḳhsat ye ehsās hai
jaise mard-e-jafā-kash kā andoḳhta
hāsil-e-mehnat-e-zindagī
rāhzan chhīn le
jaise zāhid ko piirī meñ ehsās ho
umr bhar kī riyāzat akārat ga.ī
yun achanak mulaqat tujh se hui
jaise rahgir ko
be-talab
be-dua
rah mein ek anmol moti mile
aur hangam-e-ruKHsat ye ehsas hai
jaise mard-e-jafa-kash ka andoKHta
hasil-e-mehnat-e-zindagi
rahzan chhin le
jaise zahid ko piri mein ehsas ho
umr bhar ki riyazat akarat gai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 303)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.