nazm uljhī huī hai siine meñ
misre aTke hue haiñ hoñToñ par
lafz kāġhaz pe baiThte hī nahīñ
uḌte phirte haiñ titliyoñ kī tarah
kab se baiThā huā huuñ maiñ jānam
saada kāġhaz pe likh ke naam tirā
bas tirā naam hī mukammal hai
is se behtar bhī nazm kyā hogī!
nazm uljhi hui hai sine mein
misre aTke hue hain honTon par
lafz kaghaz pe baiThte hi nahin
uDte phirte hain titliyon ki tarah
kab se baiTha hua hun main jaanam
sada kaghaz pe likh ke nam tera
bas tera nam hi mukammal hai
is se behtar bhi nazm kya hogi!
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 58)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.