basta pheñk ke lo jī bhāgā raushan-ārā baaġh kī jānib
chillātā chal guDDī chal
pakke jāmun Tapkeñge
āñgan kī rassī se maañ ne kapḌe khole
aur tannūr pe lā ke Tiin kī chādar Daalī
saare din ke sukhā.e pāpaḌ
lachchhī ne chādar meñ lapeTe
bach ga.ī rabbā kiyā karāyā dhul jaanā thā
ḳhairū ne khet kī sūkhī miTTī
jhurriyoñ vaale haath meñ le kar
bhīgī bhīgī āñkhoñ se phir uupar dekhā
jhuum ke phir uTThe haiñ bādal
TuuT ke phir meñh barsegā
basta phenk ke lo ji bhaga raushan-ara bagh ki jaanib
chillata chal guDDi chal
pakke jamun Tapkenge
aangan ki rassi se man ne kapDe khole
aur tannur pe la ke Tin ki chadar Dali
sare din ke sukhae papaD
lachchhi ne chadar mein lapeTe
bach gai rabba kiya karaya dhul jaana tha
KHairu ne khet ki sukhi miTTi
jhurriyon wale hath mein le kar
bhigi bhigi aankhon se phir upar dekha
jhum ke phir uTThe hain baadal
TuT ke phir meinh barsega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.