nazm
ik chāñd hai
ik chāñdnī
mas.hūr-kun hai
rāgnī
shahr-e-dil
shahr-e-‘ajab
jal uThā hai aab aur
jam ga.ī hai aagnī
ik dard jo hai lā-davā
us kī davā hai
sājnī
yūñhī sadā taḌpegā dil
gar Das ga.ī ye nāganī
patthar sā hai ye hijr bhī
dīvār-e-jāñ bhī
āhanī
ek chand hai
ek chandni
mashur-kun hai
ragni
shahr-e-dil
shahr-e-‘ajab
jal uTha hai aab aur
jam gai hai aagni
ek dard jo hai la-dawa
us ki dawa hai
sajni
yunhi sada taDpega dil
gar Das gai ye nagani
patthar sa hai ye hijr bhi
diwar-e-jaan bhi
aahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.