nazm
Interesting Fact
(Nayi Qadre.n, Hyderabad, Sindh. Annual February-March, 1973)
ik ik ruuh ke aage ik dīvār hai ūñchī gale gale tak
ik dīvār hai ramz daroñ kī
us dīvār ke andar kī jānib jitnā kuchh bhī hotā hai jis ke paas ḳhazāna ik durdāna yā ik tāl-makhāna
naqd-e-bātin yā kam-az-kam āb-o-dāna
jitnā kuchh bhī paas ho utnī hī dīvār ye moTī hotī hai aur
us duurī ke baa.is
utnī hī us ruuh kī baat zarā gambhīr aur gahrī ho jaatī hai
apne bojh se bojhal ho jaatī hai der se sunñe meñ aatī hai
apne paas to kuchh bhī nahīñ ruuh na us kā koī dhārā
apne paas to sirf ik ye āvāz hai jis ke aage koī bhī dīvār nahīñ hai
san se tumhāre paas pahuñch jaatī hai
is āvāz meñ ramz daroñ ke saare ġhair muqattar zahr haiñ us kā burā na
kabhī kabhī jī meñ aa.e to sun lo
chun lo
rakh lo
chakh lo
ek ek ruh ke aage ek diwar hai unchi gale gale tak
ek diwar hai ramz daron ki
us diwar ke andar ki jaanib jitna kuchh bhi hota hai jis ke pas KHazana ek durdana ya ek tal-makhana
naqd-e-baatin ya kam-az-kam aab-o-dana
jitna kuchh bhi pas ho utni hi diwar ye moTi hoti hai aur
us duri ke bais
utni hi us ruh ki baat zara gambhir aur gahri ho jati hai
apne bojh se bojhal ho jati hai der se sunne mein aati hai
apne pas to kuchh bhi nahin ruh na us ka koi dhaara
apne pas to sirf ek ye aawaz hai jis ke aage koi bhi diwar nahin hai
san se tumhaare pas pahunch jati hai
is aawaz mein ramz daron ke sare ghair muqattar zahr hain us ka bura na
kabhi kabhi ji mein aae to sun lo
chun lo
rakh lo
chakh lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.