nazm
jab ham kisī ḳhayāl ko
zindagī dene se rah jaate haiñ
to vo dafn ho kar
man meñ qabr banā letā hai
aisī qabreñ
binā katbe ke hotī haiñ
aur charvāhe aksar
maveshiyoñ ko
aise qabristānoñ meñ
charāte haiñ
qabreñ andhī hotī haiñ
ḳhayāl andhe nahīñ hote
vo qabr se bhī
jhāñkte rahte haiñ
guzarte hue har pair kī
aahaT kā maza lete haiñ
aur hameñ
farār dete haiñ
jab hum kisi KHayal ko
zindagi dene se rah jate hain
to wo dafn ho kar
man mein qabr bana leta hai
aisi qabren
bina katbe ke hoti hain
aur charwahe aksar
maweshiyon ko
aise qabristanon mein
charaate hain
qabren andhi hoti hain
KHayal andhe nahin hote
wo qabr se bhi
jhankte rahte hain
guzarte hue har pair ki
aahaT ka maza lete hain
aur hamein
farar dete hain
- Book : Man Baani (Pg. 400)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.