nazm
aao
shabnam ke paanī meñ jhāñkeñ
havāoñ ke uḌte hue narm jhoñkoñ se kheleñ
fazāoñ meñ bikhre hue ḳhvāb DhūñDeñ
jo bachpan meñ ham se
zamāne ne chhīne the aur ahl-e-duniyā kī chhat par
bikhere the!
logoñ se, rāhoñ se
apnī kitāboñ se pūchhtā thā ḳhvāboñ kī duniyā kahāñ hai?
ḳhudā ko pukāreñ
jo har shai ke parde meñ parda hai dekheñ
vo kis kis kī suntā hai
ḳhvāboñ meñ jhāñkeñ
ki ḳhvāboñ ke andar vo bastī hai jo
ḳhush-nasīboñ kī bastī hai, achchhe ḳhudā ke irādoñ kī bastī hai
shāyad vahīñ
apne bachpan ke chhīne ga.e ḳhvāb rahte haiñ ham se bichhaḌ kar
judā.ī ke sadmoñ ko sahte haiñ
aao
shabnam ke pani mein jhanken
hawaon ke uDte hue narm jhonkon se khelen
fazaon mein bikhre hue KHwab DhunDen
jo bachpan mein hum se
zamane ne chhine the aur ahl-e-duniya ki chhat par
bikhere the!
logon se, rahon se
apni kitabon se puchhta tha KHwabon ki duniya kahan hai?
KHuda ko pukaren
jo har shai ke parde mein parda hai dekhen
wo kis kis ki sunta hai
KHwabon mein jhanken
ki KHwabon ke andar wo basti hai jo
KHush-nasibon ki basti hai, achchhe KHuda ke iradon ki basti hai
shayad wahin
apne bachpan ke chhine gae KHwab rahte hain hum se bichhaD kar
judai ke sadmon ko sahte hain
- Book : Monthly Usloob (Pg. 537)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.