nazm ke anguThe khule hain
koī kahtā hai ḳhudā zamīñ se gayā nahīñ
magar kyā vaj.h hai ki shaitān būḌhe nahīñ hote
un kā tuutī boltā hai
haañ za.iif kaam karne se qāsir hotā hai
aur nazm buzurgoñ se muqābla nahīñ kartī
maiñ mar jā.ūñgā
yaqīnan mujhe marnā hai
lekin us nazm ko jise maiñ ne kuchh der pahle janā
use qatl karnā mumkin nahīñ
mere nafs hone kī ye āḳhirī dalīl zinda rahegī
koi kahta hai KHuda zamin se gaya nahin
magar kya wajh hai ki shaitan buDhe nahin hote
un ka tuti bolta hai
han zaif kaam karne se qasir hota hai
aur nazm buzurgon se muqabla nahin karti
main mar jaunga
yaqinan mujhe marna hai
lekin us nazm ko jise main ne kuchh der pahle jana
use qatl karna mumkin nahin
mere nafs hone ki ye aaKHiri dalil zinda rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.