nazm
kuchh log tumheñ samjhā.eñge
vo tum ko ḳhauf dilā.eñge
jo hai vo bhī kho saktā hai
is raah meñ rahzan haiñ itne
kuchh aur yahāñ ho saktā hai
kuchh aur to aksar hotā hai
par tum jis lamhe meñ zinda ho
ye lamha tum se zinda hai
ye vaqt nahīñ phir aa.egā
tum apnī karnī kar guzro
jo hogā dekhā jā.egā
kuchh log tumhein samjhaenge
wo tum ko KHauf dilaenge
jo hai wo bhi kho sakta hai
is rah mein rahzan hain itne
kuchh aur yahan ho sakta hai
kuchh aur to aksar hota hai
par tum jis lamhe mein zinda ho
ye lamha tum se zinda hai
ye waqt nahin phir aaega
tum apni karni kar guzro
jo hoga dekha jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.