nazm
maiñ girvī rakkhī ga.ī āñkhoñ meñ
basā ḳhvāb huuñ
lā-mahdūd samundar meñ tairte
jazīroñ kā
jahāñ muhājir parinde ghaḌī bhar
baserā karte haiñ
nīlgūñ pāniyoñ kā
sāhiloñ ke kināre
chamaktī ret kā
vo ḳhvāb
jo bah nikaltā hai
namkīn qatre kī sūrat
maiñ vo āzād ruuh huuñ
jo ġhulām jismoñ ke andar
taḌaptī hai
bhaTaktī phirtī hai
dard se phaTte sar kī
darz se
nikalne ko be-tāb hotī hai
maiñ vo mohmal sahīfa huuñ
tah-dar-tah lipTā huā
jis ke ma.anī kī saltanat
āshkār nahīñ hotī
magar kitāb pau kī mānind
roz phaTtī hai
main girwi rakkhi gai aankhon mein
basa KHwab hun
la-mahdud samundar mein tairte
jaziron ka
jahan muhajir parinde ghaDi bhar
basera karte hain
nilgun paniyon ka
sahilon ke kinare
chamakti ret ka
wo KHwab
jo bah nikalta hai
namkin qatre ki surat
main wo aazad ruh hun
jo ghulam jismon ke andar
taDapti hai
bhaTakti phirti hai
dard se phaTte sar ki
darz se
nikalne ko be-tab hoti hai
main wo mohmal sahifa hun
tah-dar-tah lipTa hua
jis ke mani ki saltanat
aashkar nahin hoti
magar kitab pau ki manind
roz phaTti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.