nazm
maiñ jism pe Talcum nahīñ
apne vajūd pe
namak chhīḌaknā chāhtī huuñ
sadiyoñ se jamī huī
barf kāTnā chāhtī huuñ
kyā tum rishtoñ kā alaav
dahkā sakte ho
maiñ apnī āñkhoñ ko
āñsuoñ se
talāq dilānā chāhtī huuñ
jo sadiyoñ se
aañsū kāsht kar rahī haiñ
kyā tum merī āñkhoñ ko
ḳhvāb de sakte ho
zamāne ke bakheḌoñ meñ nahīñ
man kī duniyā meñ
ghar banānā chāhtī huuñ
bas ab maiñ
dil kī baat sunñā chāhtī huuñ
kyā tum mere man meñ
bol sakte ho
main jism pe Talcum nahin
apne wajud pe
namak chhiDakna chahti hun
sadiyon se jami hui
barf kaTna chahti hun
kya tum rishton ka alaw
dahka sakte ho
main apni aankhon ko
aansuon se
talaq dilana chahti hun
jo sadiyon se
aansu kasht kar rahi hain
kya tum meri aankhon ko
KHwab de sakte ho
zamane ke bakheDon mein nahin
man ki duniya mein
ghar banana chahti hun
bas ab main
dil ki baat sunna chahti hun
kya tum mere man mein
bol sakte ho
- Book : Man Baani (Pg. 416)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.