nazm
saḳht satah se miTTī haTā kar
gahrī zamīñ ke andar jā ke
jazb ho chuke gadle paanī ko upar laatā huuñ
phir tashbīhoñ alāmatoñ
aur isti.āroñ ke bartan meñ
us ko saaf o kashīd kar ke
apnī pyaas bujhātā huuñ
aur duniyā kī tishna-labī bhī
sairābī hāsil kartī hai
saKHt satah se miTTi haTa kar
gahri zamin ke andar ja ke
jazb ho chuke gadle pani ko upar lata hun
phir tashbihon alamaton
aur istiaron ke bartan mein
us ko saf o kashid kar ke
apni pyas bujhata hun
aur duniya ki tishna-labi bhi
sairabi hasil karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.