nazm
merī uñglī par kisī murda tasavvur kī añgūThī
DhūñDhtī phirtī haiñ yādeñ nā’sh kī
raat kī jhuñjhlāhaToñ meñ duur tak
sīTiyāñ faulād kī
mill kī chimney ke dhueñ kā rang
aaj kī
maut kā bosa uThā.e
jism par sau daaġh phul-bahrī ke lāñbī uñgliyoñ par
anginat anjān saa.e
meri ungli par kisi murda tasawwur ki anguThi
DhunDhti phirti hain yaaden na’sh ki
raat ki jhunjhlahaTon mein dur tak
siTiyan faulad ki
mill ki chimney ke dhuen ka rang
aaj ki
maut ka bosa uThae
jism par sau dagh phul-bahri ke lanbi ungliyon par
anginat anjaan sae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.