nazm
ghane peḌ shāḳhoñ pe baur aur ūñche pahāḌ
harī jhāḌiyāñ aur sabze kī moTī taheñ
saḌak ke kināroñ pe khamboñ ke taar havā se hileñ sarsarā.eñ
rasīle jhakoroñ meñ vo tez nashsha ki bas so hī jaa.eñ
kisī ek ko pyaas lag jaa.e to sab ke sab khelte muskurāte
nashebī chaTānoñ meñ bahte hue mīThe jharne kī jānib
chaleñ aur hāthoñ ke pyāle ko ik dūsre ke laboñ se lagā deñ
kabhī koī bus aa.e aur jo bhī utre ḳhulūs-o-mohabbat se ahvāl-pursī kare
aur asbāb sar par dhare gaañv kā rāsta le
kabhī koī charvāhā kañdhe pe lāThī rakhe aur hāthoñ ko lāThī pe laTkā.e
āhista āhista revaḌ liye guzre aur pūchhtā jaa.e
kyuuñ jī kahāñ jā rahe ho
kabhī duur ke khet se ik madhur taan uThe aur sab bhuul jaa.eñ
ki kyā kah rahe the
phir abbā nazar aa.eñ aur
kañkaroñ aur lakīroñ kī dil-chasp ma.asūm baazī ko sab bhuul jaa.eñ
koī ziin ghoḌe pe kasne lage koī sāmān uThā.e
shahr se aane vaale phaloñ kī mahak har taraf phail jaa.e
khilaunoñ kī jhankār dil meñ ajab gudgudī sī machā.e
havelī ke chobī munaqqash baḌe dar pe daadī khaḌī muntazir hoñ
nāshta kab se tayyār hai
aaTh bajne ko haiñ aaj office nahīñ
jā.eñge kyā
ghane peD shaKHon pe baur aur unche pahaD
hari jhaDiyan aur sabze ki moTi tahen
saDak ke kinaron pe khambon ke tar hawa se hilen sarsaraen
rasile jhakoron mein wo tez nashsha ki bas so hi jaen
kisi ek ko pyas lag jae to sab ke sab khelte muskuraate
nashebi chaTanon mein bahte hue miThe jharne ki jaanib
chalen aur hathon ke pyale ko ek dusre ke labon se laga den
kabhi koi bus aae aur jo bhi utre KHulus-o-mohabbat se ahwal-pursi kare
aur asbab sar par dhare ganw ka rasta le
kabhi koi charwaha kandhe pe laThi rakhe aur hathon ko laThi pe laTkae
aahista aahista rewaD liye guzre aur puchhta jae
kyun ji kahan ja rahe ho
kabhi dur ke khet se ek madhur tan uThe aur sab bhul jaen
ki kya kah rahe the
phir abba nazar aaen aur
kankaron aur lakiron ki dil-chasp masum bazi ko sab bhul jaen
koi zin ghoDe pe kasne lage koi saman uThae
shahr se aane wale phalon ki mahak har taraf phail jae
khilaunon ki jhankar dil mein ajab gudgudi si machae
haweli ke chobi munaqqash baDe dar pe dadi khaDi muntazir hon
nashta kab se tayyar hai
aaTh bajne ko hain aaj office nahin
jaenge kya
- Book : meyaar (Pg. 134)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.