nazm
use chāheñ to aa.heñ
dil kī sab rāheñ dhueñ se tīra-o-tārīk kar Dāleñ
nigāheñ yuuñ karāheñ
jaise tā-hadd-e-nazar us kī shuā.eñ marg-āsā jaal phailā deñ
har ik shab saañs ke tāroñ ko uljhā.e
sahar-dam ḳhvāb-gah par kasmapursī saaya saaya is tarah mañDlā.e
pairāhan-e-lahū meñ tar-ba-tar jaise kisī turbat pe lahrā.e
use DhūñDeñ to raste
jaan ke darpai
jahāzoñ kashtiyoñ se lahlahāte zindagī-parvar samundar
barf se bhar jaa.eñ
har jānib mileñ koh-e-nidā ġhol-e-bayābāñ
aur kabhī ḳhemoñ kī ḳhūnī dhajjiyāñ TuuTī tanābeñ haDDiyāñ
haibat dilā.eñ
kārvāñ katrā.eñ
jaise ham zamīñ par bojh hoñ
har samt sidra hai
sitāre ḳhushbueñ jugnū havā.eñ sab ġhalat raste batā.eñ
paañv nezoñ par chaleñ
aur vo to kyā
dast-e-talab meñ apnī ḳhākistar bhī anqā ho
ise paa.eñ to saare mahl
gir jaa.eñ iram uTh jaa.eñ
peḌoñ aur dīvāroñ ke saa.e uḌ chaleñ
sūraj kī kirneñ muḌ chaleñ kuchh aur duniyāoñ kī jānib
uñgliyāñ uTTheñ sannāToñ kī tarah
aur saath chalnā ḳhalq kī ismat-darī jaise
zamīñ af af se fankāroñ se neshoñ se bharī jaise
use chāheñ to kyā
DhūñDheñ to kaise
paa.eñ to pā kar kahāñ jaa.eñ
use chahen to aahen
dil ki sab rahen dhuen se tira-o-tarik kar Dalen
nigahen yun karahen
jaise ta-hadd-e-nazar us ki shuaen marg-asa jal phaila den
har ek shab sans ke taron ko uljhae
sahar-dam KHwab-gah par kasmapursi saya saya is tarah manDlae
pairahan-e-lahu mein tar-ba-tar jaise kisi turbat pe lahrae
use DhunDen to raste
jaan ke darpai
jahazon kashtiyon se lahlahate zindagi-parwar samundar
barf se bhar jaen
har jaanib milen koh-e-nida ghol-e-bayaban
aur kabhi KHemon ki KHuni dhajjiyan TuTi tanaben haDDiyan
haibat dilaen
karwan katraen
jaise hum zamin par bojh hon
har samt sidra hai
sitare KHushbuen jugnu hawaen sab ghalat raste bataen
panw nezon par chalen
aur wo to kya
dast-e-talab mein apni KHakistar bhi anqa ho
ise paen to sare mahl
gir jaen iram uTh jaen
peDon aur diwaron ke sae uD chalen
suraj ki kirnen muD chalen kuchh aur duniyaon ki jaanib
ungliyan uTThen sannaTon ki tarah
aur sath chalna KHalq ki ismat-dari jaise
zamin af af se fankaron se neshon se bhari jaise
use chahen to kya
DhunDhen to kaise
paen to pa kar kahan jaen
- Book : meyaar (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.