nazm
vo javānī ke nashe meñ laḌkhaḌātī Doltī jaatī hasīna
maiñ huuñ ik pazhmurda-o-pāmāl sā
darmāndagī ke qahr kā maarā huā behis musāfir
jis kī nazroñ meñ faqat us ke ta.āqub kī sakat baaqī bachī hai
phir bhī mere jism ke ik zinda aur jāved hisse meñ
ye dhaḌakne kī sadā
un kī shākī hai
jo kahte haiñ ki merā jism ḳhākī hai
wo jawani ke nashe mein laDkhaDati Dolti jati hasina
main hun ek pazhmurda-o-pamal sa
darmandagi ke qahr ka mara hua behis musafir
jis ki nazron mein faqat us ke taaqub ki sakat baqi bachi hai
phir bhi mere jism ke ek zinda aur jawed hisse mein
ye dhaDakne ki sada
un ki shaki hai
jo kahte hain ki mera jism KHaki hai
- Book : Lauh-e-Jahan (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.