nazm
raat añdherī thī sunsān thī aur maiñ
tang-o-tārīk galiyoñ se hotā huā
ajnabī se ḳhayāloñ meñ khoyā huā
ek aise nagar jā ke pahuñchā jahāñ
sarsarāte daraḳhtoñ ne phunkārtī vahshatoñ ne mirā ḳhair-maqdam kiyā
chand lamhe ḳhamoshī meñ guzre magar
phir achānak kahīñ se koī naġhma-e-ġham sunā.ī diyā
merī nazreñ sadā ke ta'āqub meñ pahuñchīñ bahut duur tak
aur girtā sañbhaltā muġhannī talak maiñ pahuñch hī gayā
paas hī us ke thī ek qindīl jaltī huī
ḳhaak ke ek tuude pe chādar shagufta se phūloñ kī thī
aur bhī an-ginat ḳhaak ke Dher the
maiñ ki kuchh bolnā chāhtā thā magar
us ne merī taraf kuchh tavajjoh na kī
jaane kyā baat thī
phir sahar ho ga.ī
aur maiñ ek goshe meñ gum-sum yahī sochtā rah gayā
kis qadar jāñ-fazā hai yahāñ kī fazā
kyoñ na har roz aatā rahūñ maiñ yahāñ
ek din is nagar meñ hamesha hamesha ko aanā hī hai
raat andheri thi sunsan thi aur main
tang-o-tarik galiyon se hota hua
ajnabi se KHayalon mein khoya hua
ek aise nagar ja ke pahuncha jahan
sarsaraate daraKHton ne phunkarti wahshaton ne mera KHair-maqdam kiya
chand lamhe KHamoshi mein guzre magar
phir achanak kahin se koi naghma-e-gham sunai diya
meri nazren sada ke ta'aqub mein pahunchin bahut dur tak
aur girta sanbhalta mughanni talak main pahunch hi gaya
pas hi us ke thi ek qindil jalti hui
KHak ke ek tude pe chadar shagufta se phulon ki thi
aur bhi an-ginat KHak ke Dher the
main ki kuchh bolna chahta tha magar
us ne meri taraf kuchh tawajjoh na ki
jaane kya baat thi
phir sahar ho gai
aur main ek goshe mein gum-sum yahi sochta rah gaya
kis qadar jaan-faza hai yahan ki faza
kyon na har roz aata rahun main yahan
ek din is nagar mein hamesha hamesha ko aana hi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.