nazm
jhalkā jhalkā sapīda-e-sub.h
jhalkā jhalkā sapīda-e-sub.h
taare chhupte haiñ jhilmilā kar
hai nuur sā jalva-gar falak par
bhīnī bhīnī mahak guloñ kī
aur naġhma-zanī vo bulbuloñ kī
vaqt-e-sahrā aur tañg huā hai
be-mai sab kirkirā mazā hai
ik chullū ke dene meñ ye takrār
uTho jaago sahar huī yaar
dariyā kī taraf chale nahāne
ġhaT pariyoñ ke zanān-ḳhāne
murġhān-e-chaman ye nukta-rānī
chuuñ brahamnān ye bed-ḳhvānī
naubat-e-rañgat jamunā rahī hai
shahanshā-e-maza dikhā rahī hai
jhalka jhalka sapida-e-subh
jhalka jhalka sapida-e-subh
tare chhupte hain jhilmila kar
hai nur sa jalwa-gar falak par
bhini bhini mahak gulon ki
aur naghma-zani wo bulbulon ki
waqt-e-sahra aur tang hua hai
be-mai sab kirkira maza hai
ek chullu ke dene mein ye takrar
uTho jago sahar hui yar
dariya ki taraf chale nahane
ghaT pariyon ke zanan-KHane
murghan-e-chaman ye nukta-rani
chun brahamnan ye bed-KHwani
naubat-e-rangat jamuna rahi hai
shahansha-e-maza dikha rahi hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 49)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.