nazm
raunaq-e-maktab batāo to zarā
chār-harfī lafz hai vo kaun sā
sar ko us ke kaaT Dāleñ ham agar
zulm ke ma.anī hai detā sar-basar
tīsrā gar harf is kā deñ girā
is ke ma.anī hoñ tarīqa qā.eda
mānte haiñ is ko sab pīr-o-javāñ
zor-o-tāqat meñ hai vo ik pahlvāñ
dekh lo tum aap maiñ ne kah diyā
chaar sheroñ ke hai sar hī meñ chhupā
raunaq-e-maktab batao to zara
chaar-harfi lafz hai wo kaun sa
sar ko us ke kaT Dalen hum agar
zulm ke mani hai deta sar-basar
tisra gar harf is ka den gira
is ke mani hon tariqa qaeda
mante hain is ko sab pir-o-jawan
zor-o-taqat mein hai wo ek pahlwan
dekh lo tum aap main ne kah diya
chaar sheron ke hai sar hi mein chhupa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.