nazm
roz raat ke pahle pahar
kore kāġhaz par tumhārā naam likhtā huuñ
aur mausam-e-bahār kā āġhāz ho jaatā hai
kāġhaz par tumhāre naam se ik bel phūTtī hai
us kī koñpleñ nikaltī haiñ
ḳhush-rañg shagūfe khilte haiñ
bel mohabbat kī dhun par nāchnā shurūa kar detī hai
nāchte nāchte puure varaq ko gulistāñ kar detī hai
maiñ thoḌī sī ḳhush-bū apne hāthoñ par mal letā huuñ
kuchh rañg apne chehre par lagā letā huuñ
muskān hoñToñ par sajā letā huuñ
baaqī raat puure ek sau phūloñ kā itr kashīd kartā huuñ
itr apnī bayāz par uñDel detā huuñ
nazm ban jaatī hai
roz raat ke pahle pahar
kore kaghaz par tumhaara nam likhta hun
aur mausam-e-bahaar ka aaghaz ho jata hai
kaghaz par tumhaare nam se ek bel phuTti hai
us ki konplen nikalti hain
KHush-rang shagufe khilte hain
bel mohabbat ki dhun par nachna shurua kar deti hai
nachte nachte pure waraq ko gulistan kar deti hai
main thoDi si KHush-bu apne hathon par mal leta hun
kuchh rang apne chehre par laga leta hun
muskan honTon par saja leta hun
baqi raat pure ek sau phulon ka itr kashid karta hun
itr apni bayaz par unDel deta hun
nazm ban jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.