nazm
ek ke ba.ad ek ka.ī mauteñ mar kar
ab maiñ zinda ho gayā huuñ
ek maiñ hī nahīñ
yahāñ mere ird-gard
aur bahut se
ka.ī baar
maut kā zā.iqe chakh chuke haiñ
kuchh aise bhī haiñ
jo ek baar marne ke ba.ad
dobāra zinda na ho sake
ka.ī mauteñ marne
yā har baar jī uThne par
ham kyūñkar zinda rahe
aur ek baar marne ke ba.ad
kaun sī chiiz hameñ phir se zindagī kī taraf le aa.ī
hameñ nahīñ ma.alūm
lekin ek baat to tai hai
insān do tarah ke haiñ
aur ek baar marne vaale
aur baar baar marne vaale
ye bhī tai samjhe
ki ek baar marne vaale
marne se pahle zinda zarūr the
baar baar marne vāloñ ke baare meñ
ye baat yaqīn se nahīñ kahī jā saktī
ek ke baad ek kai mauten mar kar
ab main zinda ho gaya hun
ek main hi nahin
yahan mere ird-gard
aur bahut se
kai bar
maut ka zaiqe chakh chuke hain
kuchh aise bhi hain
jo ek bar marne ke baad
dobara zinda na ho sake
kai mauten marne
ya har bar ji uThne par
hum kyunkar zinda rahe
aur ek bar marne ke baad
kaun si chiz hamein phir se zindagi ki taraf le aai
hamein nahin malum
lekin ek baat to tai hai
insan do tarah ke hain
aur ek bar marne wale
aur bar bar marne wale
ye bhi tai samjhe
ki ek bar marne wale
marne se pahle zinda zarur the
bar bar marne walon ke bare mein
ye baat yaqin se nahin kahi ja sakti
- Book : aaj (Pg. 354)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.