nazm
ghar se office jaate hue
maiñ roz saḌak ke daa.eñ baa.eñ
daraḳhtoñ ko gintā huā chaltā huuñ
hamesha gine hue daraḳhtoñ kī tādād muḳhtalif hotī hai
kabhī do sau biis
kabhī tiin sau gyārah
kabhī kabhī to daraḳhtoñ kī tādād itnī baḌh jaatī hai
ki mujhe guzishta din ke ādād o shumār par
shak hone lagtā hai
par ek din patā chalā
rāste ke daraḳht aadhe bhī nahīñ rahe
kyā aadhe daraḳht kaaT diye ga.e haiñ
lekin agle roz daraḳhtoñ kī tādād itnī thī
ki merā ḳhud par se e'timād uTh gayā
mujhe yuuñ lagā
jaise kuchh daraḳht mujhe dekh kar
idhar udhar ho jaate haiñ
kuchh dūsre daraḳhtoñ ke pīchhe chhup jaate haiñ
kuchh daraḳht rātoñ raat is liye ug aate haiñ
ki mujhe hairān kar deñ
aur kuchh is liye ġhā.eb ho jaate haiñ
ki merā ḳhud par se e'timād hī jaatā rahe
lekin ye baat bhī ek din ġhalat sābit ho ga.ī
mere ghar se daftar tak ke rāste meñ
koī daraḳht thā hī nahīñ
ye mujhe ka.ī logoñ ne batāyā
dūsre ka.ī logoñ ne is baat kī tasdīq kī
kuchh ne ye mānñe tak se inkār kar diyā
ki is rāste par kabhī koī daraḳht bhī thā
us roz jab maiñ udaas aur ġhamgīñ
office se ghar lauT rahā thā
mere rāste ke donoñ jānib
daraḳht saḌak par nīche tak jhuk aa.e the
har ghar kī chaar dīvārī ke uupar se
ek na ek daraḳht jhāñk rahā thā
gharoñ kī balconiyoñ
aur chhatoñ par ug aa.e the daraḳht
kuchh daraḳht to ulTe hī khaḌe the
kuchh aadhe dīvāroñ meñ
aur aadhe dīvāroñ ke shagāfoñ se
bāhar nikal kar
saḌak ko yuuñ tak rahe the
jaise rāhgīroñ ko gin rahe hoñ
ghar se office jate hue
main roz saDak ke daen baen
daraKHton ko ginta hua chalta hun
hamesha gine hue daraKHton ki tadad muKHtalif hoti hai
kabhi do sau bis
kabhi tin sau gyarah
kabhi kabhi to daraKHton ki tadad itni baDh jati hai
ki mujhe guzishta din ke aadad o shumar par
shak hone lagta hai
par ek din pata chala
raste ke daraKHt aadhe bhi nahin rahe
kya aadhe daraKHt kaT diye gae hain
lekin agle roz daraKHton ki tadad itni thi
ki mera KHud par se e'timad uTh gaya
mujhe yun laga
jaise kuchh daraKHt mujhe dekh kar
idhar udhar ho jate hain
kuchh dusre daraKHton ke pichhe chhup jate hain
kuchh daraKHt raaton raat is liye ug aate hain
ki mujhe hairan kar den
aur kuchh is liye ghaeb ho jate hain
ki mera KHud par se e'timad hi jata rahe
lekin ye baat bhi ek din ghalat sabit ho gai
mere ghar se daftar tak ke raste mein
koi daraKHt tha hi nahin
ye mujhe kai logon ne bataya
dusre kai logon ne is baat ki tasdiq ki
kuchh ne ye manne tak se inkar kar diya
ki is raste par kabhi koi daraKHt bhi tha
us roz jab main udas aur ghamgin
office se ghar lauT raha tha
mere raste ke donon jaanib
daraKHt saDak par niche tak jhuk aae the
har ghar ki chaar diwari ke upar se
ek na ek daraKHt jhank raha tha
gharon ki balconiyon
aur chhaton par ug aae the daraKHt
kuchh daraKHt to ulTe hi khaDe the
kuchh aadhe diwaron mein
aur aadhe diwaron ke shagafon se
bahar nikal kar
saDak ko yun tak rahe the
jaise rahgiron ko gin rahe hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.