nazm
merī duniyā
itnī chhoTī hai
ki agar pair phailā.ūñ
to mere pair
ufuq se bāhar chale jaa.eñ
bahut koshish ke bāvajūd
mujhe vus.at na mil sakī
maiñ so gayā
ḳhvāboñ ne mere ufuq duur duur tak phailā diye
āsmān ko bahut ūñchā
aur zamīn ko bahut kushāda kar diyā
jab merī aañkh khulī
merī Tāñgeñ kaTī huī thiiñ
meri duniya
itni chhoTi hai
ki agar pair phailaun
to mere pair
ufuq se bahar chale jaen
bahut koshish ke bawajud
mujhe wusat na mil saki
main so gaya
KHwabon ne mere ufuq dur dur tak phaila diye
aasman ko bahut uncha
aur zamin ko bahut kushada kar diya
jab meri aankh khuli
meri Tangen kaTi hui thin
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 240)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.